Forum Menu - Click/Swipe to open
 

Ae Lakhte Jigar - Naat for daughter from father

You have contributed 40.0% of this topic

Thread Tools
Appreciate
Topic Appreciation
islambeliefs
15 guests appreciate this topic.
Yasin's avatar
UK
6,659
Brother
921
Yasin's avatar
#1 [Permalink] Posted on 27th April 2011 23:32

Qari Imtiyaz

I remember a different version but this is one I just came across. Classic old nasheed.

IMPORTANT: This is just Naseehat (advice) and not just for weddings. It's touching. However, it should not be played at Nikah or made out to be an Islamic act of virtue. Keep weddings as close to Sunnah as possible.

report post quote code quick quote reply
No post ratings
back to top
Rank Image
Offline
Unspecified
2
Brother
2
#2 [Permalink] Posted on 14th June 2011 19:52
youtube file is
Youtube Video


ay lakhte jigar ay mere maah paare
ay beti mere dil ke roshan sitaare

qaraare dilo jaane maadar pidar tu
sukoone jigar aur noore basar tu

ujaala tere dam se he mere ghar mein
teri bholi surat he sabki nazar me

tujhe dekh kar hoti shaad maani
teri roo'e zibaa meri zindaganee

tere gham me haalat tabaah ho raheehe
ke tu aaj humse judaa ho rahee he

tere chote bhaee bhi larte the tujse
zaraa baat par yeh bhi larte the tujhse

magar aaj yeh sab ke sab roh rahe hein
judaaee ke ashkon se moonh dho rahe hein

teri behnein aapasmein mooh tak rahi hein
magar zaahira tujhse ye hans rahi hein

teri waalidah ki ye haalat he beti
ke rotee he chup chup ke ghar mein akelee

nahi dil beheltaa he behlaye qyoon kar
rakhein kis tarah kalejhe pe pathar

yahaan tu ne pehne phate aur puraane
ke guzre hein ayse bhi akthar zamaane

kabhi bukaa pyaasa bhi rehna padha he
kabhi sakht aur soost kehnaa padha he

uthayaa he raton ko neendho se tujhko
ke beti hamaaraa zaraa kaam kardo

har ek baar khidmat kaa tu ne uthaayaa
magar tere chehre pe bal tak na aayaa

khuda ke liye apna dil saaf karnaa
joh guzri hein taklifein woh muaaf karnaa

magar ab sharee'at se majboor hein hum
yeh hukme khuda he to ma'zoor hein hum

tujhe aaj qudrat ne yeh din dikhaayaa
tujhe teri behno(n) ne dulhan banayaa

mubaarak ho susraal janaa mubaarak
sharee'at se shohar ka paanaa mubaarak

magar chand batein meri yaad rakhna
kabhi oof na karnaa agar dukh bhi sehna

na ghabraana toofaane baatil se darr kar
qadam haqq ki jaanib tu rakhnaa sanmbhal kar

kabhi hukme shohar se ghaflat na karna
sadaaqat se jeena sadaaqat pe marnaa

muhammad ke payghaam par dil se chalna
gharibon faqeeron se nafrat na karna

namaz aur rozah woh farmaane haqq ke
na chootein kabhi jaan kar beti tujhse

shikayat ka mowqa' kisi ko na denaa
kabhi bhool kar bhi tu gheebat na karna

rahega tere dar pe daamaane rahmat
teri ghodh bachon se bhar degi qudrat

tere saaye mein jab yeh bachche paleinge
to mazhab ki raah mujaahid banein ge

yeh deen aur dunya mein ujaalaa karein ge
ye tauqeere millat dobaalaa kareinge

mubaarak ho tujhko nayaa ghar banaanaa
mubaarak ho shohar ki ghaliyaan basaanaa

judaa tujhko karna gawaaraa naheen he
magar hukme qudrat mein chaaraa neheen he

habeeb ab kahoon kya ye he hukme qudrat
ke paaye koyi aur le koyi khidmat

ay lakhte jigar meri jaan pyaari
ay beti mere dil ki roshan sitaari

report post quote code quick quote reply
+1 -0Like x 1
back to top
Rank Image
abu mohammed's avatar
London
26,146
Brother
9,541
abu mohammed's avatar
#3 [Permalink] Posted on 14th June 2011 22:35
Very nice, are there more like this. My cousin is getting married soon, inshaAllah. I'm sure she would appreciate this.
report post quote code quick quote reply
+1 -0Like x 1
back to top
#4 [Permalink] Posted on 15th June 2011 17:13
salam can someone provide a translation please
report post quote code quick quote reply
No post ratings
back to top
#5 [Permalink] Posted on 19th June 2012 02:28
can you upload the original song sung by Muhammad Rafi or tell the original poet of this song?
report post quote code quick quote reply
No post ratings
back to top

 

Quick Reply

CAPTCHA - As you are a guest, you are required to answer the following:


In the above image: What shape is the red shape ('round' is not a shape)?