Bismillah
Maulana Hasan Jan
This is not focused on a personality but it gives an excellent perspective on recent turn of events from a point of view that takes Muslim sensitivities into account.
Afghanistan mein soviet union ka hamla jise taareekh mein Afghan jihad ke naam se yaad kiyaa jaata hai aur us jang mein shaamil logon ke liye mujaahideen lafz ki istelaah musalmaan mo’arrikheen (Muslim Historian), daanishwaron, sahaafiyon (Journalists) wa ulamaa ke alaawa maghribi daanishwar balki maghribi siyaasi leedaran bhi istemaal karte hain ki taareekh (History) mein mujhe hamesha aik taalib-e-ilm (Student) ki haisiyat se dilchaspi rahi aur is dilchaspi ki wajah thi ki maine us jang ki taareekh ke alaawa us waqt ke siyaasi, samaaji, maz’habi wa nafsiyaathi tajziyon ko mukhtalif magazine wa akhbaraat jo kitaabi shaql mein makhsoos report ki tarje par shaaya hue ho ki us jagah ke sabse aham fareek Islamist wa secular wa atheist ke nukt-e-nazar se padaa hai aur aap bakhoobi jaante honge ki dauraan-e-jang nazriyon mein aik doosre ke radh ki kitni shidhat hoti hogi lekin aapko hairaani hogi ki is jang mein muslamaanon ka jo ilmi zarb tha soviet union wa usse mota’assir hazraat par us zarb ka ilmi jawaaz un ulema ne pesh kiya tha jinhein aamthor par yetedaalpasand samjhaa jaata thaa aur un ilmi tahreeron wa taqreeron ko awaam thak un ulemaa wa daanishwaron ne pahunchaaya jo intehaapasand samjhe jaate the huaa yun ki jab afghaan jihaad khatm huaa aur soviet union tukde tukde bant gaya t’heek usi waqt Afghanistan ki zameen par taaqat ke hosul ki jang shuru hui wahi saath me ilmi halako mein aik aur jang ka aagaaz huaa aur ye jang kisi baahari duniya se nahi balki un ulema wa daanishwarons mein thi jo is jang mein shreek the ye jang ilm ki jang thi aur jab us waqt shaayaa hone waali kitaabein ut’haayenge tho is jang ki chaap aapko zaroor dikhegi is ilmi jang ke bahot se juzyaat hai aap aur ispe baat karne ke liye alag se aik lambi tahreer ki darkaraar hogi isliye main us bahas mein nahi jaata bas aik baat clear kardun ki wo jang har maamle wa masaa’il mein yetedaal wa intehaa pasandi ki thi aur is jang mein maine dekha kee ki aksar wo ulema wa daanishwar yetedaalpasand rukh par the jinka maazi unke mustanad hone ki daleel deta ho aur unka naam aik ilmi shakhsiyat ki haisiyat se liyaa jaata ho jabki jo motashadheed giroh tha usmein zyaadhaathar naatjarbekaar wa kam ilmi haisiyat ke log the
Is ilmi jang ka anjaam ye huaa ki aksar mothashadheed giroh ke log in yetedaalpasand giroh ke gumraah hone, khaarji hone ke fatwe dene shuru kar diya aur naazeba zubaan to aam hi thi aur aakhir mein in sab ka nateeja ye huaa ki wo yetedaalpasand ulemaa jinki ilmi tahreeron ko hi bunyaad banaa inhone aik maazi ki azeem taareekh raqm ki thi unhee ko in motashadheed giroh ke wo naasamajh naujawaan jo un poore haalaat mein khud yeni shaahid nahi the unhone inhein hi dushman samajh jazbaat mein aakar shaheed karna shuru kar diya aur unme sabse badi misaal Maulaana Hasan Shahid (RA) hai iske alaawa aik lambi list hai
Kehne ka maqsad sirf itna hai ki jab insaan chaahe nazriyaati giroh kee hi shaql mein ho jab bhi had se tajaawuz karenge bhale hi deen mei hi kyon na ho hamesha woh us qaum ka nuksaan karega jiska saath hone ka wo daawedaar hai aur ye baat taareekh ke alaawa Islam ki taleemaat se saabit shudhaa hai meri is poore manzarnaamein ko karne ka maqsad sirf itna thaa ki is facebook ki duniya me kuch islaampasand log bhi hai aur hamesha maine inhein muttahid paaya lekin ab dekh rahaa hun ki Afghanistan jang ke baad bade logon ki aik bade parde pe badi ilmi jang ladi gayi jiska bahot afsosnaak huaa wahi jang is choti duniya me chote logon kad zariye chote parde pe kam ilmi wa jazbaatiyat ki jang ho rahi hai usme aur isme aik baat common hai ki donon tabke usi tabke ke nazariyaati waaris hai bhale unhein is taareekh ka idraak na ho
Aik baat yahaan waaze kar dun ki yahaan bahot se aise log jo jihaalat ki inteha par hai islaamparasti ka choga shoharat haasil karne ke liye pehne hue hain aur yahi wo log hai jo ulemaa ko kaafir wa mulhid ke fatwe de rahe hain warna haqeeqat ye hai ki is facebook ki duniya me logon ko Islamic nazriye ki taraf dhyaan dilaane mein wo log baraabar shareek hai jinke khilaaf ye befakoof naazeba zubaan istemaal kar rahe hain isliye waqt ki zaroorat hai ki fauran wo log jo motashadheed khyaalaat ke hain unse alag ho aur kam se kam aik doosre yehteraam kare bhale hi zaawiya-e-nazar mukhtalif ho lekin maqsad sabhi ka aik hai.

